Description
Tera sehar, teri tarah.
Tere sehar se ab bhi
Utna hi pyaar hai mujhe,
jitna pehle tha, teri tarah.
Haskar milte hai aaj bhi hum,
Beshak gale nahi lagte,
Par ajnabi bhi nahi, teri tarah.
Puraani bastiyaan nayi si lagti hai,
Intezaar me, Kuch meri tarah,
Aur nayi jashn me, teri tarah.
Subah ki roohaniyat aaj bhi barbaad hai
Ishq me oss ki chadar odhe
Par shaam gumm hai ek shorr me, teri tarah
Chehre apne se lagte hai aur
Aankhein parayi, par jhooti inn sab ki
Hasi lagti hai, teri tarah
Wo tere ghar ki orr jaate raste
Jinhe main manzil kehta hu
Mujhe padaav kehte hai, teri tarah.
Haan toh hai tera shehar, teri tarah
Naye logo ke aane par bhula deta hai
Puraano ko, bilkul teri tarah.
Write a comment ...